rag-o-pai meñ bharā hai mere shor us kī mohabbat kā
namak-parvar vo huuñ maiñ yaar ke husn-o-malāhat kā
banāne se mire bigḌā ye rañg un kī tabī.at kā
mujhī se hai parī-zādoñ ko da.ave ādamiyat kā
ḳharīdārī-e-jins-e-husn par raġhbat dilātā hai
banā hai shauq-e-dil dallāl bāzār-e-mohabbat kā
sadā-e-āh hai mizrāb-e-ġham kī chheḌ se paidā
dil-e-nālāñ nayā parda hai qānūn-e-mohabbat kā
jo vaqt-e-qatl us ke la.al-e-shīrīñ kā paḌā partav
pilāyā āb-e-teġh-e-yār ne sharbat shahādat kā
huā ye dil na jab merā to phir kyā aur kā hogā
bharosa kījiyo tum bhī na aise be-muravvat kā
zamāne ko to mere vāste in sab ne chhoḌā hai
na huuñ kis tarah maiñ mamnūn dard-o-ranj-o-mehnat kā
abas āsūdgān-e-ḳhāk ko bad-ḳhvāb karte ho
abhī se kyuuñ machā rakkhā hai hañgāma qayāmat kā
za.īfī meñ bashar lahv-o-la.ab ko tark karte haiñ
safedī mū-e-sar kī nuur hai kyā chashm-e-ibrat kā
bahār-e-bāġh-e-ālam be-sabāt aisī hai ai bulbul
gumāñ hai ḳhanda-e-gul par sadā-e-kūs-e-rehlat kā
dabistān-e-azal meñ ūstād-e-ishq ne mujh ko
sabaq pahle diyā thā abjad-e-vāb-e-mohabbat kā
sadā yaañ hillat-e-bint-e-anab kī aqd jaarī hai
tarīqa hai nirālā pīr-e-mai-kash kī tarīqat kā
jo paayā muġhbachoñ meñ tarz-e-e.ajāz-e-masīhā.ī
huā zāhid bhī qaa.il pīr-e-mai-kash kī karāmat kā
subūt-e-jurm ulfat kar ke maarā us ke saude ne
tirī zulf-e-rasā darrah banī shar.a-e-mohabbat kā
na dekhā muḌ ke bhī phir ahd-e-pīrī meñ javānī ne
abas mazkūr karte ho tum aise be-muravvat kā
vo bekas huuñ sivā.e shabnam-e-giryāñ pas-e-murdan
diyā rone meñ kis ne saath merī sham-e-turbat kā
ġhubār-e-kīna-o-buġhz-o-hasad se paak hai ye dil
hamāre aa.ine ne muñh nahīñ dekhā kudūrat kā
kareñ kyā riñd mashrab iḳhtiyār ik maz.hab ai vaa.iz
nahīñ dil toḌnā manzūr haftād-o-do-millat kā
'qalaq' har vaqt ab hai sāmnā taklīf-e-pīrī kā
javānī luuT kar sab le ga.ī asbāb rāhat kā