Arshad Ali Khan Qalaq

na wo KHushbu hai gulon mein na KHalish Khaaron mein

Arshad Ali Khan Qalaq

1820-1879
na vo ḳhushbū hai guloñ meñ na ḳhalish ḳhāroñ meñ
ik tire aate hī ḳhaak uḌ ga.ī gulzāroñ meñ
chashm-o-abrū-o-miza yaar kī haiñ darpai jaañ
ek dil ghir gayā hai itne dil-āzāroñ meñ
maraz-e-hijr se bachtā nahīñ be-dārū-e-vasl
hai ye āzār baḌā ishq ke āzāroñ meñ
tujh ko zebinda hai kyā sādgī aur rañgīnī
ek trahdār hai tū laakh tarah-dāroñ meñ
phir ga.ī merī nazar meñ mizha-o-chashm tirī
dīda-e-ābla dekhā jo ghirā ḳhāroñ meñ
be-gunāhoñ kī haiñ abrū-e-siyah tishna-ḳhūñ
na.e jauhar nazar aa.e tirī talvāroñ meñ
āshiq-e-ḳhāl-e-malīh apnā samajh kar bole
ki hamāre ye qadīmī haiñ namak-ḳhvāroñ meñ
nāvak-e-āh ne paidā kī rah-e-āmad-o-raft
saikḌoñ ban ga.e dar yaar kī dīvāroñ meñ
yūsuf-e-dil ko hasīnoñ se sivā samjhe aziiz
pher detā ye DhiñDhorā koī bāzāroñ meñ
naam rakhne kī bhī uTh jaa.e use kaifiyyat
dam-bhar aa baiThe jo vaa.iz koī mai-ḳhvāroñ meñ
āmad-e-fasl-e-bahārī kā jo hañgāma hai
ġhul hai tauba-shikanī kā tire mai-ḳhvāroñ meñ
'qalaq' itnī nahīñ har vaqt koī bach kartā
aap bhī hazrat-e-dil ke haiñ taraf-dāroñ meñ
Top Urdushayar.com