gar dil meñ kar ke sair-e-dil-e-dāġh-dār dekh
ai jaan ḳhāna-e-bāġh kī aa kar bahār dekh
pachhtā.egā jo haath se tū kho.egā hameñ
ham tujh se saaf kahte haiñ o bad-shi.ār dekh
maiñ kyā vahāñ pe gor tujhe de abhī javāb
turbat pe merī aa ke zarā tū pukār dekh
bāhar hoñ apne jaame se gul bulbuleñ to kyā
gulshan meñ imtihān ko poshāk utaar dekh
ab mujh meñ tujh meñ ek sar-e-mū nahīñ hai farq
mū-e-miyāñ milā ke mirā jism-e-zār dekh
ba.ad-e-fanā bhī vā rahīñ āñkheñ to aayā tū
va.ada-ḳhilāfī apnī mirā intizār dekh
hai nūr-e-husn māne-e-dīdār-e-rū-e-yār
āñkheñ ye kah rahī haiñ use baar baar dekh
tū teġh-e-tez khīñche hai maiñ sar jhukā.e huuñ
apne sitam ko dekh mirā inkisār dekh
darpai hue haiñ jaan ke īmāñ to le chuke
but karte haiñ sitam mire parvardigār dekh
panjoñ ke bal zamīñ pe na chal bāñkpan ko chhoḌ
mānind-e-naqsh-e-pā hai ye nā-pā.edār dekh
dikhlā de miiñh barasne meñ bijlī kā kauñdnā
hañs hañs ke jānib-e-miza-e-ashk-bār dekh
kotāh umr ho ga.ī aur ye na kam huī
ai jaan aa ke tūl-e-shab-e-intizār dekh
bad-vaz.a ham ko kah ke banā nek tū che ḳhush
atvār apne dekh hamārā shi.ār dekh
bijlī girā.ī ġhair siyah-rū par ai 'qalaq'
tāsīr-e-garm āh-e-dil-e-be-qarār dekh