dāñtoñ se jabki us gul-e-tar ke dabā.e hoñTh
bolā ki sāhab apne se samjho parā.e hoñTh
us ġhairat-qamar ke agar dekh paa.e hoñTh
la.al-e-yaman bhī rashk se apnā chabā.e hoñTh
phūloñ se us ke jabki chaman meñ milā.e hoñTh
nāzuk ziyāda rag se saman ke bhī paa.e hoñTh
samjhā maiñ ḳhizr-e-chashma-e-āb-e-hayāt huuñ
hoñThoñ se mere us ne jo apne milā.e hoñTh
māñgā jo bosa yaar se maiñ ne shab-e-visāl
az-ḳhud maze meñ aa ke mire kaaT khaa.e hoñTh
kyā kyā sifat zabān se sausan kī bhī sunī
mal kar misī chaman meñ jo us ne dikhā.e hoñTh
surḳhī ne un laboñ kī kiyā āshiqoñ kā ḳhuun
laalī jamī jo paT ke to kyā rañg laa.e hoñTh
hoñThoñ meñ daab kar jo gilaurī dī yaar ne
kyā daañt piise ġhairoñ ne kyā kyā chabā.e hoñTh
paanī bhar aa.e misriyoñ ke muñh meñ vaqt-e-dīd
shīrīñ kī raal Tapke jo vo dekh paa.e hoñTh
dam aa gayā laboñ pe ye Dahkāyā yaar ne
sau baar paas hoñThoñ ke lā kar haTā.e hoñTh
shīrīñ-labī to dekhnā vo neshkar banī
quliyāñ kī nai se us ne jo apne lagā.e hoñTh
bose dahan ke is ke nahīñ bhūlte 'qalaq'
kahtā huuñ haa.e daañt kabhī gaah haa.e hoñTh