saaf bātoñ se ho gayā ma.alūm
hote ho matlab-āshnā ma.alūm
kushta teġh-e-nigah se kījiyegā
chashm-o-abrū se ho gayā ma.alūm
ibtidā ne mohabbat-e-dil kī
ye na thī ham ko intihā ma.alūm
kuchh dahan hī nahīñ hai vo nāpaid
kamar-e-yār bhī hai nā-ma.alūm
dar tak us ke mirī rasā.ī ho
tujh se ai baḳht-e-nā-rasā ma.alūm
jab kahā roke tujh pe marte haiñ
hañs ke bolā vo but ḳhudā-ma.alūm
mehrbāñ āj-kal hai vo be-mehr
us meñ hotī hai kuchh duā ma.alūm
tum suḳhan-sāz ho baḌe ai jaan
tarz-e-taqrīr se huā ma.alūm
jab muamme meñ zikr-e-vasl kiyā
bolā matlab na kuchh huā ma.alūm
bad-gumāñ duḳht-e-raz se vaa.iz ho
ham ko hotī hai pārsā ma.alūm
le ke dil vo karegā bedardī
ye na Dhañg us kā qabl thā ma.alūm
qābil-e-ishq ye hasīn nahīñ
in daġhā-bāzoñ se vafā ma.alūm
jab kahā maiñ ne o taġhāful-kesh
haal hai mere ishq kā ma.alūm
misl-e-ā.īna hairatī huuñ qadīm
bolā lākhoñ haiñ aise kyā ma.alūm
haañ magar ham ko dekhā to hai kahīñ
hote ho sūrat-āshnā ma.alūm
sābiqa jab tak ai 'qalaq' na paḌe
haal insān kā ho kyā ma.alūm