Arshad Ali Khan Qalaq

yagana un ka begana hai begana yagana hai

Arshad Ali Khan Qalaq

1820-1879
yagāna un kā begāna hai begāna yagāna hai
ḳhudā.ī se nirālā un butoñ kā kārḳhāna hai
nigāh-e-nāz se said apnā murġh-e-dil nahīñ hotā
kabhī uḌtā nahīñ nāvak se jo vo ye nishāna hai
udhar kaliyāñ chaTaktī haiñ idhar shor-e-anādil hai
chaman meñ kis kī aamad hai ye kaisā shādiyāna hai
junūñ ne kī hai qabr-e-qais kī is tarah ārā.ish
charāġh-e-ġhūl raushan haiñ bagūla shāmiyāna hai
hamārā hāl-e-dil sunñe se dil par choT lagtī hai
uḌā detā hai niiñd āñkhoñ se jo vo ye fasāna hai
phalā-phūlā na kisht-e-dahr meñ tuḳhm-e-umīd-e-dil
nahīñ āgāh jo nashv-o-numā se ye vo daana hai
jahāñ koshish zarā kī naqd-e-mazmūn us se haath aayā
zamīn-e-sher meñ bhī dafn kyā koī ḳhazāna hai
bayāñ kartā hai mere vasf aksar apnī mahfil meñ
ye us ayyār kī mujh se lagāvaT ġhā.ebāna hai
navā-sanjī se merī bulbuloñ ke hosh uḌte haiñ
guloñ se bhī kahīñ rañgīñ sivā merā tarāna hai
tū mushtāqoñ se apne chashm-poshī roz kartā hai
tire dīdār kī daulat bhī qārūñ kā ḳhazāna hai
urūs-e-marg se shādī huī hai ḳhuuñ se lab tar hai
gale meñ ye shahīd-e-nāz ke joḌā shahāna hai
kal un se pūchh leñge karte ho ab bhī dil-āzārī
jahāñ tak chāheñ kar leñ zulm aaj un kā zamāna hai
hameñ baḳhshe na baḳhshe daḳhl yā marzī meñ mālik kī
vagarna us kī rahmat ko to darkār ik bahāna hai
jabīñ-sā rahte haiñ har-dam malak jinn-o-bashar to kyā
dar-e-daulat sarā-e-yār kā vo āstāna hai
anādil kī sadā kyā buum bhī hai jis jagah anqā
'qalaq' is gulshan-e-vīrāñ meñ apnā āshiyāna hai
Top Urdushayar.com