Arshad Ali Khan Qalaq

chashmak-zani mein karti nahin yar ka lihaz

Arshad Ali Khan Qalaq

1820-1879
chashmak-zanī meñ kartī nahīñ yaar kā lihāz
nargis kī aañkh meñ bhī nahīñ hai zarā lihāz
be-gālī ab to baat bhī karte nahīñ kabhī
vo ibtidā meñ karte the be-intihā lihāz
tanhā maiñ aur itne vahāñ haiñ mire raqīb
nāz-o-adā ġhamza-o-sharm-o-hayā lihāz
saaqī kī be-ruḳhī kī kahāñ taab thī magar
pīr-e-muġhāñ kī ruuh kā karnā paḌā lihāz
kyā vasf-e-chashm-e-yār karūñ is ke sāmne
nargis se hai faqat mujhe ik aañkh kā lihāz
hurmat baḌī hai us kī na kar hajv is qadar
lāzim hai duḳht-e-raz kā tujhe vā.izā lihāz
niklī na ḳhum se bazm-e-javānān-e-mast meñ
pīr-e-muġhāñ kā bint-e-inab ne kiyā lihāz
phir mujh se is tarah kī na kījegā dil-lagī
ḳhair us ghaḌī to aap kā maiñ kar gayā lihāz
be-ḳhud sharāb-e-shauq ne shab ko ye kar diyā
un ko rahā hijāb na mujh ko rahā lihāz
qurbān is hijāb ke is sharm ke nisār
itnā na āshiqoñ se kar ai mah-laqā lihāz
mahjūb hai mizāj 'qalaq' apnā is qadar
karte haiñ apne ḳhurd kā bhī ham burā lihāz
Top Urdushayar.com