ye bole jo un ko kahā be-muravvat
maiñ kyā tum se bhī huuñ sivā be-muravvat
laqab mere qātil ke kyā pūchhte ho
sitamgār nā-āshnā be-muravvat
un ā.īna-rūyoñ meñ hai vo sitamgar
baḌā ḳhud-ġharaz ḳhud-numā be-muravvat
tū vo kaj-adā hai jo duniyā meñ DhūñDheñ
na tujh sā mile dūsrā be-muravvat
nahīñ us meñ rahm-o-hayā kuchh vo qātil
baḌā sañg-dil hai baḌā be-muravvat
tirī chashm-poshī se āñkhoñ meñ dam hai
idhar dekh o bevafā be-muravvat
sivā tere saare hasīnoñ ko dekhā
ḳhunuk be-namak be-mazā be-muravvat
gilā jaur kā sun ke bole tumheñ kyā
maiñ ahl-e-muravvat huuñ yā be-muravvat
jafāoñ kā us se gilā kījiye jab
tū kahtā hai vo bevafā be-muravvat
chalo DhūñDh lo bā-vafā aur koī
agar maiñ huuñ nā-āshnā be-muravvat
'qalaq' uTh ga.ī rasm-e-ulfat jahāñ se
hasīñ sab haiñ duniyā ke kyā be-muravvat