daftar jo guloñ ke vo sanam khol rahā hai
aġhyār to kyā dil bhī idhar bol rahā hai
āsār-e-rihā.ī haiñ ye dil bol rahā hai
sayyād sitamgar mire par khol rahā hai
ġhairoñ se mire vāste jo bol rahā hai
āb-e-dard-e-nidā nahīñ vo sam ghol rahā hai
kis kis kā nahīñ tā.ir-e-dil daam meñ us ke
tuutī ḳhatt-e-āriz kā tire bol rahā hai
jaame se huā jaatā hai bāhar jo har ik gul
kyā baaġh meñ vo band-e-qabā khol rahā hai
shāhoñ kī tarah kī hai basar dasht-e-junūñ meñ
dīvānoñ kā ham-rāh mire ġhol rahā hai
kyā kyā nahīñ dukh qaid musībat ke sahe haiñ
barsoñ dil-e-nāshād mirī avval rahā hai
raqs aap kā jo dekh ke behāl huā thā
ghuñghrū usī pāmāl kā ab bol rahā hai
yaad aatī hai kis but kī mire ḳhāna-e-dil meñ
chhātī ke kivāḌ aaj koī khol rahā hai
karne ko hai said aaj kisī tā.ir-e-dil
shāhīñ nigah-e-yār kā par tol rahā hai
taskīñ ko ye kahte rahe furqat kī shab ahbāb
lo sub.h huī murġh-e-sahar bol rahā hai
bulbul hai fidā kartī nahīñ naqd-e-dil us par
gulzār meñ ġhuncha bhī girah khol rahā hai
dānā.ī se ḳhālī thā na dīvāna-pan us kā
duniyā meñ baḌī chain se bahlol rahā hai
maqtal meñ gire paḌte haiñ jāñbāz pe jāñbāz
talvār se ḳhaak khaḌā rol rahā hai
dil to diyā mīzāñ nahīñ paTtī nazar aatī
nazroñ meñ vo ḳhush-chashm mujhe taul rahā hai
sanduqcha argan kā hai yā ḳhāna-e-sayyād
har murġh-e-nafas haañk na.ī bol rahā hai
miTte nahīñ dekhī hai shikan ham ne jabīn kī
jab farsh par us ke kahīñ kuchh jhol rahā hai
mahrūm thiiñ rah ga.e kahte haiñ ye sab log
jāñ-bāzoñ ko kas kar vo kamar khol rahā hai
kyā garm hai bāzār-e-ḳharīdārī-e-bulbul
gulzār meñ kāñTā zar-e-gul tol rahā hai
kam qadr kabhī dekhī nahīñ jins-e-mohabbat
saudā ye hamesha 'qalaq' anmol rahā hai