Arshad Ali Khan Qalaq

sote hain phail phail ke sare palang par

Arshad Ali Khan Qalaq

1820-1879
sote haiñ phail phail ke saare palañg par
ham chup alag paḌe haiñ kināre palañg par
afshāñ ke zarre dekh ke saare palañg par
samjhā maiñ loTte haiñ sitāre palañg par
pūchho na mujh se shiddat-e-dard-e-shab-e-firāq
taḌpā kiyā maiñ raat ko saare palañg par
lipTe hue paḌe rahe paTTī se ham alag
soyā kiye vo chain se saare palañg par
bechain ho ke farsh pe lag jā.egī jo aañkh
chaliye ḳhudā ke vāste pyāre palañg par
us mah baġhair niiñd na aa.ī tamām raat
leTe hue ginā kiye taare palañg par
toshak ke phuul ban ga.e añgāre hijr meñ
dahkā kī ek aag sī saare palañg par
qismat hai aage vasl mayassar ho yā na ho
aa.e to minnatoñ se vo baare palañg par
īzā.eñ sub.h-e-hijr kī kahne bhī ham na paa.e
vo shaam hī se aaj sidhāre palañg par
bāhar huā maiñ jaame se apne shab-e-visāl
kapḌe jo us ne apne utāre palañg par
us māh-rū kī diid kā allāh re ishtiyāq
gardūñ se TuuTe paḌte haiñ taare palañg par
shab ko ḳhajil thī us kī safedī se chāñdnī
chādar kasī thī aisī tumhāre palañg par
furqat kī raat ro ro ke dariyā bahā diye
takiye bane nahañg hamāre palañg par
paTTī ke nīche baiThā rahā rāt-bhar 'qalaq'
rakkhā qadam na ḳhauf ke maare palañg par
Top Urdushayar.com