Arshad Ali Khan Qalaq

luT rahi hai daulat-e-didar qiasar-bagh mein

Arshad Ali Khan Qalaq

1820-1879
luT rahī hai daulat-e-dīdār qiasar-bāġh meñ
misl-e-gul sab ho ga.e zardār qaisar-bāġh meñ
dekhte haiñ yaar kā paḌhtā hai kalima kaun kaun
jam.a haiñ sab kāfir-o-dīñdā qiasar-bāġh meñ
ham se aañkh us ne laḌā.ī tevrī badlī ġhair ne
chalte chalte rah ga.ī talvār qiasar-bāġh meñ
us kamān-e-abrū ne kiiñ dil par nazar-andāziyāñ
ham pe tīroñ kī huī bauchhār qiasar-bāġh meñ
gaate haiñ murġhān-e-gulshan peñg detī hai sadā
jabki jhūlā jhūltā hai yaar qiasar-bāġh meñ
be-ḳhudī chhā.ī huī hai ye sharāb-e-aish kī
mast do bāhar paḌe haiñ chaar qiasar-bāġh meñ
yaañ havā meñ hai dam-e-īsā kā aalam kyā ajab
paa.e sehat nargis-e-bīmār qiasar-bāġh meñ
maiñ to kyā hote haiñ gul bhī kushta-e-teġh-e-ḳhirām
bāñkī tirchhī chalte ho raftār qaisar-bāġh meñ
jalva-afgan nuur ke haiñ phuul phal tuubā kī tarf
ḳhuld se mañgvā.e haiñ ashjār qiasar-bāġh meñ
ab to ai rashk-e-chaman sūrat dikhānā chāhiye
nāla-kash hai andalīb-e-zār qiasar-bāġh meñ
vo na the pahlū meñ to us ne bhī kī pahlū-tahī
mujh se dil meñ dil se thā bezār qiasar-bāġh meñ
daur-e-ishrat hai ye zoroñ par haiñ mai-kash kyā ajab
mohtasib kī chhīn leñ dastār qiasar-bāġh meñ
aamad aamad hai salāmī ko hamāre shaah kī
haiñ javānān-e-chaman tayyār qiasar-bāġh meñ
mohtasib ke haath se tañg is qadar haiñ ai 'qalaq'
aa.e haiñ nālish ko sab mai-ḳhvār qiasar-bāġh meñ
Top Urdushayar.com