Arshad Ali Khan Qalaq

na kal tak the wo munh lagane ke qabil

Arshad Ali Khan Qalaq

1820-1879
na kal tak the vo muñh lagāne ke qābil
hue aaj bāteñ banāne ke qābil
tirī bandagī aur siyahkār mujh sā
ye sar aur tire āstāne ke qābil
lab-e-zaḳhm-e-dil par ye hai shor qātil
tirī teġh kā phal hai khāne ke qābil
nikāle sanam peT se paañv tum ne
hue jab kahīñ āne-jāne ke qābil
dil-e-bul-havas lā.eq-e-dāġh-e-ulfat
ye darham na the is ḳhazāne ke qābil
un ā.īna-rūyoñ kī ulfat ne ai dil
na rakkhā hameñ muñh dikhāne ke qābil
yahāñ sau haiñ khaTke chalo is chaman se
nahīñ ye jagah āshiyāne ke qābil
patañge haiñ gustāḳh ai sham.a-paikar
nahīñ terī mahfil meñ aane ke qābil
koī us ke duzd-e-hinā se ye kah de
mirā naqd-e-dil hai churāne ke qābil
kabhī ḳhuun meñ mere bhī haath tar kar
ye mehñdī hai tere lagāne ke qābil
falak kyā rulāyā karegā hamesha
kabhī ham bhī hoñge hañsāne ke qābil
marīz-e-mohabbat tumhārā hai lāġhar
nahīñ yaar furqat uThāne ke qābil
kise dekheñ ham aur dikhlā.eñ kis ko
na ab dekhne ne dikhāne ke qābil
ġhash ustādiyoñ par haiñ jāneñ na pūchheñ
'qalaq' aise haiñ is zamāne ke qābil
Top Urdushayar.com