Arshad Ali Khan Qalaq

hum to hon dil se dur rahen pas aur log

Arshad Ali Khan Qalaq

1820-1879
ham to hoñ dil se duur raheñ paas aur log
sūñgheñ gul-e-ezār kī bū-bās aur log
vaa.iz hameñ Darā na vafūr-e-gunāh se
us ke karam se hote haiñ be-ās aur log
saudā-e-ishq yaañ to hai sar meñ bharā huā
nām-e-junūñ se karte haiñ visvās aur log
āzād-gān-e-ishq har ik haal meñ haiñ shaad
hoñge asīr-o-ranj-o-ġham-o-yās aur log
haiñ ser boriyā-e-tavakkul ke fāqa-mast
hote haiñ muztarib dam-e-iflās aur log
yaañ hai faqat havas dur-e-dandāñ ke diid kī
khāte haiñ us ke dāñtoñ pe almās aur log
sanjog ek apnā tumhārā azal se hai
pūchheñ brahmanoñ se buto raas aur log
uTThe fanā o ek na ik kyā ba.iid hai
ab baiThne lage haiñ tire paas aur log
us āb-e-la.al par kabhī ham bhī muhīt the
lab chuus kar bujhā.e haiñ ab pyaas aur log
ham to na ghar meñ aap ke dam-bhar Thaharne paa.eñ
roz aa.eñ jaa.eñ sūrat-e-anfās aur log
apne nasīb meñ to na ho āb-e-ḳhizr-e-lab
sairāb hoñ ba-sūrat-e-ilyās aur log
dīvān meñ mire nahīñ bhartī ke aise sher
bharte haiñ jaise safha-e-qirtās aur log
vo bevafā karegā mirī qadr kyā 'qalaq'
karte haiñ apne āshiqoñ kā paas aur log
Top Urdushayar.com