Arshad Ali Khan Qalaq

luTe maze jo humne tumhaare ugal ke

Arshad Ali Khan Qalaq

1820-1879
luuTe maze jo ham ne tumhāre ugaal ke
mar mar ga.e raqīb lahū Daal Daal ke
be-yār dūd-o-lukkā mire āsmāñ banā
saaqī banā de maah piyāla uchhāl ke
bigḌe hue ho aaj banāvaT na kījiye
ai jaan chhupte haiñ kahīñ tevar malāl ke
pahuñchā diyā hai dam meñ lab-e-bām-e-yār tak
qaa.il haiñ ham to apnī kamand-e-ḳhayāl ke
duniyā-e-dūñ ko aañkh uThā kar na dekhiye
āshiq javān hote haiñ kab pīr-zāl ke
apne hī silsile meñ hai bai.at unheñ nasīb
zulfoñ ke sab faqīr hamāre haiñ baal ke
TūTeñ na ḳhaar aur kahīñ phūTeñ na aable
vahshat meñ paañv rakhte haiñ apnā sambhāl ke
vahshat meñ apne haath se pahuñchā hameñ gazand
pachhtā.e āstīn meñ ham saañp paal ke
ham un se aur vo ham se dam-e-sulh the ḳhajil
chhīñTe laḌā kiye araq-e-infi.āl ke
be-yār mai-kashī bhī jo kiije to ġham ke saath
jām-o-subū banā.iye gard-e-malāl ke
dil meñ tumhārī yaad bhī hai jaan lījiye
tīr-e-nigah lagā.iegā dekh-bhāl ke
dāñtoñ meñ missī mal ke agar kījiye ḳhelāl
nazroñ meñ mail surma hoñ tinke ḳhelāl ke
raftār-e-kilk qahr hai aafat sarīr-e-kilk
mazmūñ jo likh rahā huuñ tire bol-chāl ke
ham-mashraboñ meñ chal ke 'qalaq' mai-kashī karo
jhagḌe vahāñ nahīñ haiñ harām-o-halāl ke
Top Urdushayar.com