Arshad Ali Khan Qalaq

yar ke nargis-e-bimar ka bimar raha

Arshad Ali Khan Qalaq

1820-1879
yaar ke nargis-e-bīmār kā bīmār rahā
yahī āzār mire darpai-e-āzār rahā
umr-bhar shefta-e-chashm-o-lab-e-yār rahā
kabhī sūrat rahī mujh ko kabhī bīmār rahā
dil ko mere na zarā rañj shab-e-tār rahā
sham-e-afroz ḳhayāl-e-ruḳh-e-kaddār rahā
lab pe dil-soḳhtoñ ke naala sharar-bār rahā
sard-mehrī kā tire garm ye bāzār rahā
maiñ fidā ruḳh pe vo zulfoñ kā giraftār rahā
dil ko tujh se na mujhe dil se sarokār rahā
ḳhud-faroshī sar-e-bāzār jo laa.ī un ko
misr meñ ek na yūsuf kā ḳharīdār rahā
mere marne se phañsā dām-e-ġham-o-ranj meñ vo
maiñ rihā ho gayā sayyād giraftār rahā
but-parastī meñ bhī bhūlī na mujhe yād-e-ḳhudā
haath meñ sub.ha gale meñ mire zunnār rahā
laakh asīroñ ko kiyā tum ne rihā zindāñ se
ek mahrūm-e-ināyat ye gunahgār rahā
terī ai vahshat-e-dil dast-darāzī na ga.ī
ba.ad-e-murdan bhī kafan meñ na koī taar rahā
rauzan-e-qabr se jhāñke jo vo iisā aayā
mar ga.e par bhī hameñ diid kā āzār rahā
chuum liiñ nashshe meñ aaj un kī nashīlī āñkheñ
ain be-hoshī-e-lazzat meñ bhī hoshiyār rahā
ruḳh se apne jo naqāb us ne uThāyā to kyā
parda-e-sharm-o-hayā māne-e-dīdār rahā
dasht-e-vahshat meñ rahe qais se lākhoñ hamrāh
saare dīvānoñ kā maiñ qāfila-sālār rahā
be-ḳhatā kaun dil-āzār ḳhafā thā tum se
umr-bhar tū jo 'qalaq' ziist se bezār rahā
Top Urdushayar.com