koī jab chhoḌ jaatā hai to dil kī maut hotī hai
bahāreñ be-sabab haiñ jab koī apnā nahīñ hotā
ye āñkheñ niiñd kī vaadī meñ jā kar lauT ātīñ haiñ
vo vaadī maut kī hotī hai aur sapnā nahīñ hotā
badan ko chāhiye ik lothḌā garmā.ish-e-ḳhūñ ko
na hotā dil jo siine meñ dhḌaknā bhī nahīñ hotā
bahut do-chār qadmoñ kī masāfat tañg kartī hai
qadam ho jaa.eñ patthar ke to phir chalnā nahīñ hotā
mohabbat ke karam haiñ karb aur añgāre yādoñ ke
agar hotī na ye zālim to phir jalnā nahīñ hotā
kisī kī yaad meñ jī kar hazāroñ baar marte haiñ
agar na zindagī hotī kabhī marnā nahīñ hotā