Shahzad Qamar

apne roz o shab ka aalam karbala se kam nahin

Shahzad Qamar

1949
apne roz o shab kā aalam karbalā se kam nahīñ
arsa-e-mātam hai lekin fursat-e-mātam nahīñ
sirf jazb-e-shauq meñ paureñ lahū karte rahe
ham vahāñ uljhe jahāñ par koī pech o ḳham nahīñ
koī rog aisā nahīñ jo qarya-e-jāñ meñ na ho
koī sog aisā nahīñ jis meñ ki shāmil ham nahīñ
koī lai aisī nahīñ jo sarf-e-hañgāmā nahīñ
ek bhī sur zindagī ke saaz kā maddham nahīñ
ek sāvan hī nahīñ hai ḳhuuñ rulāne ke liye
apnī āñkheñ ḳhushk hone kā koī mausam nahīñ
dast-e-īsā kyā kare jab jism par rakhte haiñ ham
ek aisā zaḳhm jis kā vaqt bhī marham nahīñ
aisī tanhā.ī se to 'shahzād' mar jaanā bhalā
ek bhī dushman nahīñ aur ek bhī hamdam nahīñ
Top Urdushayar.com