is dasht kī vus.at meñ simaT kar nahīñ dekhā
ik umr chale aur palaT kar nahīñ dekhā
ham ahl-e-nazar ho ke bhī kab ahl-e-nazar the
hālāt ko ḳhud se kabhī haT kar nahīñ dekhā
ahbāb kī bāñhoñ kā nasha aur hai lekin
tū ne kabhī dushman se lipaT kar nahīñ dekhā
ik dard ke dhāge meñ piro.e haiñ azal se
is rishta-e-mauhūm se kaT kar nahīñ dekhā
yā raat ke dāman meñ sitāre hī bahut the
yā ham ne charāġhoñ ko ulaT kar nahīñ dekhā
kaise nazar aate mirī āñkhoñ ke jazīre
is bahr-e-talab ne kabhī ghaT kar nahīñ dekhā
shahzād'-qamar dekh rahā hai vahī duniyā
ḳhānoñ meñ jahāñ ziist ne baT kar nahīñ dekhā