der ho jā.egī phir kis ko sunā.ī doge
dasht ḳhud bol uThegā to duhā.ī doge
ab to is parda-e-aflāk se bāhar aa jaao
ham bhī ho jā.eñge munkir to dikhā.ī doge?
ab asīrān-e-qafas jaise qafas meñ bhī nahīñ
ab kahāñ hogī rihā.ī jo rihā.ī doge
sham.eñ raushan haiñ to kyā ālam-e-be-chehragī meñ
tum koī bhī ho magar kis ko sujhā.ī doge
ham to iz.hār ke qaa.el the hamesha kī tarah
kab tavaqqo thī ki naale ko rasā.ī doge
kyā ḳhabar thī mirī mehnat ke sile meñ tum bhī
mere hāthoñ meñ ye kashkol-e-gadā.ī doge
ham to is vasl-e-mukarrar pe bhī ḳhush the 'shahzād'
jab ye ma.alūm thā ik aur judā.ī doge