zindagī ko ham vafā tak vo jafā tak le ga.e
apne apne fan ko donoñ intihā tak le ga.e
laġhzishoñ meñ kyā muāfī kī tavaqqo ho ki jab
be-gunāhī ko bhī merī vo sazā tak le ga.e
sāhiloñ par aur bhī ḳhush-zauq the lekin mujhe
pāniyoñ ke rañg har mauj-e-balā tak le ga.e
jī rahī hai ab to bastī ek sannāTe ke saath
jabr ke mausam faqīroñ kī sadā tak le ga.e
ik zabūñ-hālī to thī par tum mirī tārīḳh ko
chand hī barsoñ meñ daur-e-ibtilā tak le ga.e
āsmāñ kī dushmanī itnī bhī yak-tarfā nahīñ
ham bhī dhartī kī balāoñ ko ḳhalā tak le ga.e
ham ne ḳhud apnī duāoñ ko kiyā hai be-asar
ham jo chhoTī chhoTī bāteñ bhī ḳhudā tak le ga.e
kho chuke the vaqt kī pahchān bhī 'shahzād' ham
ajnabī lamhe magar ik āshnā tak le ga.e