Shahzad Qamar

KHwah mahsur hi kar den dar-o-diwar mujhe

Shahzad Qamar

1949
ḳhvāh mahsūr hī kar deñ dar-o-dīvār mujhe
ghar ko banñe nahīñ denā kabhī bāzār mujhe
maiñ ise dast-e-adū meñ nahīñ jaane dūñgā
sar kī qīmat pe bhī mahñgī nahīñ dastār mujhe
maiñ jo chaltā huuñ to āñkheñ bhī khulī rakhtā huuñ
itnā saada bhī na samjheñ mire sālār mujhe
phir tavāzun meñ rahegī mirī naav kab tak
jab Dubone pe tule haiñ mire patvār mujhe
yā zamāna mirī taqlīd meñ aa niklegā
yā kahīñ kā na rakheñge mire me.ayār mujhe
ab mirā hijr mujhe saath liye phirtā hai
jā.iye ab koī sāthī nahīñ darkār mujhe
is tarah sochte rahnā nahīñ achchhā 'shahzād'
fikr-e-sehhat hī na kar de kahīñ bīmār mujhe
Top Urdushayar.com