Shahzad Qamar

dekh in aankhon se kya jal-thal kar rakkha hai

Shahzad Qamar

1949
dekh in āñkhoñ se kyā jal-thal kar rakkhā hai
ġham sī aag ko ham ne bādal kar rakkhā hai
jis ne raah ke peḌoñ kī sab shāḳheñ kāTīñ
sab ne usī ke sar par āñchal kar rakkhā hai
koī pahāḌ hai apnī zaat ke andar jis ne
ḳhud ham se bhī ham ko ojhal kar rakkhā hai
patthar le kar saarā shahr hai us ke pīchhe
ik pāgal ne sab ko pāgal kar rakkhā hai
us ne ḳhālī dasht basāne kī koshish meñ
bhare-pure shahroñ ko jañgal kar rakkhā hai
terī hastī ek furāt sahī par tū ne
mere to āñgan ko karbal kar rakkhā hai
tere jalāl ke munkir to chand ek haiñ lekin
tere azaab ne sab ko be-kal kar rakkhā hai
ab 'shahzād' zamāne se kyā lenā-denā
ham ne bāb-e-dard mukammal kar rakkhā hai
Top Urdushayar.com