'sabā' ye un se kaho ki mujh pe navāzisheñ be-hisāb likhnā
mire muqaddar meñ niiñd likhnā na raat likhnā na ḳhvāb likhnā
vo raushnā.ī kahāñ se lā.ūñ maiñ aise kātib kahāñ se DhūñDūñ
bahut kaThin hai gulāb chehroñ pe dāstān-e-azāb likhnā
maiñ dhuup sahrā meñ Duub jaane kī aarzū meñ taḌap rahī huuñ
mire nasīboñ meñ pyaas likhnā qadam qadam pe sarāb likhnā
tujhe ḳhudā.ī kā vāsta hai mirī duā kī bhī laaj rakhnā
maiñ tujh se umr-e-darāz māñgūñ tū mere haq meñ habāb likhnā
lo terī chaukhaT pe zindagī kā maiñ faisla ab ke le rahī huuñ
tū mere dast-e-savāl par ab koī na koī javāb likhnā
yahāñ zamīneñ khisak chukī haiñ har ek ghar ab ujaḌ chukā hai
mirā makāñ hai abhī salāmat mujhe bhī ḳhāna-ḳharāb likhnā