kisī se rāz-e-dil kahnā ye ḳhū rusvā karātī hai
tirī ye baat tanhā.ī meñ paiham yaad aatī hai
ki hañs ke Tālte haiñ zikr terā koī gar chhoḌe
sabā phir bhī guzishta rātoñ ke qisse sunātī hai
na jaane saḳht kyuuñ hai dil tirā hairat sī hotī hai
talab paiġhām kī tere mujhe aksar rulātī hai
bulandī pe agar vo hai to itnī be-ruḳhī kyuuñ kar
mohabbat meñ kashish aisī jo duurī ko miTātī hai
mire barbād hone kā na kar charchā jahāñ se tū
unhīñ qissoñ se aksar bū tire hone kī aatī hai