āḳhirī sāñsoñ talak laḌtī rahī
zindagī ummīd huuñ kahtī rahī
chand jumloñ meñ kahī sab ke liye
vo kahānī umr-bhar chaltī rahī
jaane kyā hai baat par manzil mujhe
rahguzar chhū kar tirī miltī rahī
yaad to aayā na ho aisā nahīñ
diid kī ḳhvāhish magar miTtī rahī
laakh ghaav ko chhupāyā thā magar
zaḳhm dhakne kī ridā phaTtī rahī