mahfiloñ meñ zikr us kā jab chhiḌā mere liye
pūchhtā har ek se dil kyā kahā mere liye
kyā marāThī aur urdu ziist ke mīzān meñ
ek ghar paanī hai to duuje havā mere liye
jab kabhī āvāz dī tū ne mujhe to ye lagā
dair kī ho ghanTiyāñ terī sadā mere liye
safha-e-hastī pe likkhā be-ḳhudī meñ ek naam
saañs lene kā sabab vo ban gayā mere liye
jab kahā us ne ki do hai jism apne ek jaan
ye purānā khel par khelā nayā mere liye