aag sī lag rahī hai siine meñ
ab mazā kuchh nahīñ hai jiine meñ
āḳhirī kashmakash hai ye shāyad
mauj-e-dariyā meñ aur safīne meñ
zindagī yuuñ guzar ga.ī jaise
laḌkhaḌātā ho koī ziine meñ
dil kā ahvāl pūchhte kyā ho
ḳhaak uḌtī hai ābgīne meñ
kitne sāvan guzar ga.e lekin
koī aayā na is mahīne meñ
saare dil ek se nahīñ hote
farq hai kañkar aur nagīne meñ
zindagī kī sa.ādateñ 'aslam'
mil ga.iiñ sab mujhe madīne meñ