hañgāma-e-hastī se guzar kyuuñ nahīñ jaate
raste meñ khaḌe ho ga.e ghar kyuuñ nahīñ jaate
mai-ḳhāne meñ shikva hai bahut tīra-shabī kā
mai-ḳhāne meñ bā-dīda-e-tar kyuuñ nahīñ jaate
ab jubba-o-dastār kī vaq.at nahīñ baaqī
rindoñ meñ ba-andāz-e-digar kyuuñ nahīñ jaate
jis shahr meñ gumrāhī azīz-e-dil-o-jāñ ho
us shahr-e-malāmat meñ ḳhizar kyuuñ nahīñ jaate
tosha nahīñ koī nasīm-e-saharī kā
be-rāhila o zād-e-safar kyuuñ nahīñ jaate
shāyad ki shanāsā ho koī be-hunarī kā
kyuuñ Darte ho bāzār-e-hunar kyuuñ nahīñ jaate
har lahza hai jo sar ke liye ik na.ī Thokar
us zillat-e-har-roz se mar kyuuñ nahīñ jaate
ham jis ke liye zinda haiñ bā-hāl-e-pareshāñ
ab vo bhī ye kahtā hai ki mar kyuuñ nahīñ jaate
kyuuñ gosha-e-ḳhalvat se nikalte nahīñ 'aslam'
baiThe haiñ jidhar log udhar kyuuñ nahīñ jaate