maiñ sochtā huuñ kahīñ tū ḳhafā na ho jaa.e
tirī anā mirī zanjīr-e-pā na ho jaa.e
ye jītī-jāgtī āñkheñ ye ḳhvāb sī duniyā
vufūr-e-shauq ḳhud apnī jazā na ho jaa.e
qadam qadam pe bapā jashn-e-imtihān-e-vafā
tirī tarah koī dard-āshnā na ho jaa.e
na dekh mujh ko mohabbat kī aañkh se ai dost
mirā vajūd mirā mudda.ā na ho jaa.e
maiñ jis ko DhūñD rahā huuñ nashāt-e-qurbat meñ
mire ḳhayāl se bhī māvarā bhī ho jaa.e
zamīñ kī god se sūraj nikālne vaalo
sitāra-e-saharī rahnumā na ho jaa.e
ab aur tā-ba-kujā ye hisār-e-mausam-e-dard
ab us taraf bhī darūd-e-sabā na ho jaa.e
harīm-e-jāñ meñ hai arzāñ ḳhumār-e-tīra-shabī
ye us dayār kī āb-o-havā na ho jaa.e
ġham-e-firāq meñ lazzat sahī magar 'aslam'
mirī hayāt mirā ḳhūñ-bahā na ho jaa.e