ye hikāyat tamām ko pahuñchī
zindagī iḳhtitām ko pahuñchī
raqs kartī huī nasīm-e-sahar
sub.h tere salām ko pahuñchī
raushnī ho rahī hai kuchh mahsūs
kyā shab āḳhir tamām ko pahuñchī
shab ko aksar kalīd-e-mai-ḳhāna
shaiḳh-e-ālī-maqām ko pahuñchī
shahr kab se hisār-e-dard meñ hai
ye ḳhabar ab avaam ko pahuñchī
pahle do ek qatl hote the
naubat ab qatl-e-ām ko pahuñchī
sab kā anjām ek jaisā hai
sub.h-e-raushan bhī shaam ko pahuñchī
maut bilkul qarīb hai shāyad
sub.h ko pahuñchī shaam ko pahuñchī