Aslam Farrukhi

zad pe aa jaega jo koi to mar jaega

Aslam Farrukhi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1923-2016
zad pe aa jā.egā jo koī to mar jā.egā
vaqt kā kaam guzarnā hai guzar jā.egā
ḳhud use bhī nahīñ ma.alūm hai manzil apnī
jaane vaale se na pūchho vo kidhar jā.egā
aaj añdherā hai to kal koī charāġh-e-ummīd
matla-e-vaqt pe sūraj sā nikhar jā.egā
is taraf aag kā dariyā hai udhar dār-o-rasan
dil vo dīvāna ki jā.egā magar jā.egā
koī manzil nahīñ baaqī hai musāfir ke liye
ab kahīñ aur nahīñ jā.egā ghar jā.egā
kū-e-qātil meñ tahī-dast ko jā miltī nahīñ
jo bhī jā.egā liye haath meñ sar jā.egā
kitnī tārīkī hai shahr-e-dil-o-jāñ par taarī
koī andāza nahīñ kaun kidhar jā.egā
ek gul-dasta banāyā thā pa-e-rāhat-e-jāñ
ab ye andesha hai har phuul bikhar jā.egā
ek din aisā bhī qismat se mile jab 'aslam'
raqs kartā huā mahbūb-nagar jā.egā
Top Urdushayar.com