libās-e-gul meñ vo ḳhushbū ke dhyān se niklā
mirā yaqīn bhī vahm-o-gumān se niklā
hamāre saath hī ab āñdhiyāñ bhī chaltī haiñ
ye tarz-e-ham-safarī bādbān se niklā
kuchh is tarah se bañdhe haiñ zamīñ kī Dor se ham
ki ḳhauf-e-gum-rahī ūñchī uḌaan se niklā
naqīb meñ DhūñDh rahā thā fasīl-e-shab meñ magar
mirā ġhanīm mire hī makān se niklā
ab is ke ba.ad koī rāsta na koī safar
qadam hisār-e-zamān-o-makān se niklā
ajiib kashmakash-e-jabr-o-iḳhtiyār rahī
ġham-e-hayāt isī darmiyān se niklā
nadī se pyaas milī hai isī gharāne ko
ki jis ke vāste paanī chaTān se niklā