dīvāroñ ko dil se bāhar rakhne vaale
ham banjāre kāñdhe par ghar rakhne vaale
kuuch kā jab bhī gajar baje uTh kar chal deñge
bañdhā huā ham apnā bistar rakhne vaale
kaisī parvāzeñ kaisī āzād fazā.eñ
kunj-e-qafas meñ ḳhush haiñ shahpar rakhne vaale
aañch se jugnū kī chaTTāneñ sulag rahī haiñ
sho.ale ugaleñ mom kā paikar rakhne vaale
be-chehrā lamhe bhī ā.īna rakhte haiñ
pas-manzar haiñ apnā manzar rakhne vaale
nā-vāqif haiñ harfoñ kī tauqīr se 'aslam'
sheroñ meñ lafzoñ kā daftar rakhne vaale