hausle aur sivā ho ga.e parvānoñ ke
sho.ale armān baḌhā dete haiñ dīvānoñ ke
yahī aalam hai agar laġhzish-e-mastāna kā
Dher lag jā.eñge TuuTe hue paimānoñ ke
taur badlā na agar ahl-e-chaman ne apnā
nazar ā.eñge manāzir yahīñ vīrānoñ ke
āh-e-mazlūm agar dil se nikal jā.egī
ḳhaak par Dher nazar ā.eñge aivānoñ ke
qissa-e-sarmad-o-mansūr na chheḌ ai hamdam
varna jazbāt bhaḌak uTheñge dīvānoñ ke
aap mahfil meñ na aate to bahut achchhā thā
aaj to hosh uḌe jaate haiñ farzānoñ ke
daur-e-hāzir kī kashākash kā ye aalam hai ki bas
hausle past hue jaate haiñ insānoñ ke
kyā bigāḌegī bhalā shorish-e-tūfāñ us kā
jis ne ruḳh moḌ diye bārhā tūfānoñ ke
dosto bāteñ banāte ho sar-e-sāhil kyā
aao ruḳh moḌ ke dekheñ zarā tūfānoñ ke
us se ummīd-e-karam kyā kare koī 'kashfī'
kaam aatā ho jo apnoñ ke na begānoñ ke