merā darmāñ hai na ka.abe meñ na but-ḳhāne meñ
riñd huuñ mujh ko paḌā rahne do mai-ḳhāne meñ
us ko samjhī hai na samjhegī majāzī duniyā
hai haqīqat hī haqīqat mire afsāne meñ
liye phirtī hai mujhe manzil-e-jānāñ kī talāsh
chain hāsil hai gulistāñ meñ na vīrāne meñ
un ke kahne se use toḌ duuñ kaise āḳhir
ilm jin ko nahīñ kyā hai mire paimāne meñ
rabt-e-bāham bhī ajab shai hai gale milte hī
sham.a kā nuur nazar aatā hai parvāne meñ
husn rū-posh hai to diid ke qābil kyā hai
ab kise dekhūñ bhalā dahr ke ġham-ḳhāne meñ
sīñche jaao ise tum apne lahū se kashfī
phuul khil jā.eñge ik din isī vīrāne meñ