Kashfi Lucknavi

mera KHulus-e-mohabbat bhi kaamran na hua

Kashfi Lucknavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1921
mirā ḳhulūs-e-mohabbat bhī kāmrāñ na huā
vo zulm Dhātā rahā mujh pe mehrbāñ na huā
jabīn-e-ishq jhukī hai na jhuk sakegī kabhī
barā-e-sajda agar terā āstāñ na huā
hai baat kyā jo abhī tak khile na lāla-o-gul
ḳhizāñ ke ba.ad bhī shādāb gulistāñ na huā
tirī hañsī pe luTā dete chāñd tāroñ ko
hamāre zer-e-asar aaj āsmāñ na huā
vo aa.e mere tasavvur meñ shukriya un kā
zahe-nasīb mirā jazb rā.egāñ na huā
kisī ke ishq ne vo hausla diyā mujh ko
koī bhī ġham mire dil par kabhī garāñ na huā
vo āshiyāna ho gulshan ho yā qafas 'kashfī'
sitam zamāne meñ ham par kahāñ kahāñ na huā
Top Urdushayar.com