yahī huā hai jo us rahguzar se guzre haiñ
hazār hashr ke manzar nazar se guzre haiñ
vo rāheñ aaj bhī naqsh-e-vafā se haiñ raushan
mizāj-dān-e-mohabbat jidhar se guzre haiñ
ḳhudā kare na vo guzreñ kisī kī nazroñ se
jo sail-e-dard-o-balā mere sar se guzre haiñ
chhupā.e āñkhoñ meñ aañsū diloñ meñ dard-o-fuġhāñ
vafā shanās yūñhī tere dar se guzre haiñ
talāsh-e-yār meñ ham kyā Dareñ musībat se
hazār baar rah-e-pur-ḳhatar se guzre haiñ
khilā ga.e haiñ mohabbat ke phuul kāñToñ meñ
tumhāre chāhne vaale jidhar se guzre haiñ
dil-o-jigar meñ ujālā hai aaj tak jin kā
kuchh aise jalve bhī 'kashfī' nazar se guzre haiñ