karte raheñ vābasta un se chāhe jo afsāne log
ishq meñ rusvā.ī kī parvā karte haiñ kab dīvāne log
kis ko sadā.eñ detā hai tū shahr-e-tamannā meñ ai dil
kaun yahāñ hai terā sāthī sabhī to haiñ begāne log
kis ko sunā.eñ hāl-e-tabāhī kis ko dikhā.eñ zaḳhm-e-jigar
daur-e-sitam hai rahm kahāñ ab zulm ke haiñ dīvāne log
shaiḳh-o-barahman kī bātoñ meñ dair-o-haram ke jhagḌe haiñ
chaal meñ in kī phir kyuuñ aa.eñ ham jaise mastāne log
faiz-e-junūñ se jaag uThā hai aaj muqaddar sahrā kā
phuul khilāte haiñ is meñ bhī dekhiye kuchh dīvāne log
bachte hue sab se aa.e the mahfil-e-zindāñ kī jānib
mil hī ga.e uf ham ko yahāñ bhī kuchh jaane pahchāne log
ahl-e-junūñ ke faiz se kashfī duniyā meñ bedār hī hai
baat pate kī kah dete haiñ akasr ye dīvāne log