Kashfi Lucknavi

jab apne gham ka fasana unhen sunate hain

Kashfi Lucknavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1921
jab apne ġham kā fasāna unheñ sunāte haiñ
zamāna hañstā hai ham par vo muskurāte haiñ
mirī nigāh se jab vo nazar milāte haiñ
dil-e-ġharīb kī duniyā ujaaḌ jaate haiñ
hamārī āñkhoñ ne har inqalāb dekhā hai
zamāna vaale hameñ kis liye Darāte haiñ
ye kaisā jashn manāte haiñ gulistāñ vaale
guloñ ko toḌte haiñ āshiyāñ jalāte haiñ
zamāne vaale samajhte haiñ ham ko dīvāna
tumhāre husn ke jis vaqt giit gaate haiñ
tirī nigāh meñ saaqī ye kaisā jaadū hai
ki be-piye hī qadam Dagmagā.e jaate haiñ
jo terī bazm-e-tarab meñ kabhī guzāre the
vo lamhe ab bhī hameñ roz yaad aate haiñ
hamāre ashkoñ kī tābish pe hai nazar shāyad
jabhī to shaam se taare bhī jhilmilāte haiñ
vo kyā banā.eñge bigḌā nasīb ai 'kashfī'
jo mere hāl-e-pareshāñ pe muskurāte haiñ
Top Urdushayar.com