koī hamdard nahīñ koī bhī dam-sāz nahīñ
ab to is bazm meñ merī koī āvāz nahīñ
naġhma kaisā ki laboñ par bhī hai ik mohar-e-sukūt
dil kī dhaḌkan ke sivā ab koī āvāz nahīñ
aur hī hotī hai ik sāz-e-shikasta kī sadā
soz-e-ġham jis meñ na ho dil kī vo āvāz nahīñ
mahv-e-parvāz hai us auj pe bhī merā ḳhayāl
jis bulandī pe farishtoñ kī tag-o-tāz nahīñ
ḳhaar ban jaanā hai har phuul mire hisse kā
bāġhbāñ ye mirī qismat kā to e.ajāz nahīñ
jab se badlā hai tirā tarz-e-sitam ai zālim
dil-e-bismil ke taḌapne kā vo andāz nahīñ
karvaTeñ lete haiñ naġhmāt-e-mohabbat is meñ
dil kī āvāz se behtar koī āvāz nahīñ
phir ga.ī milne se pahle vo nazar ai 'kashfī'
ye vo anjām hai jis kā koī āġhāz nahīñ