jab raushnī na pā sake mehr-o-qamar se ham
ḳhud be-niyāz ho ga.e shām-o-sahar se ham
is imtihān meñ bhī hai terā karam sharīk
hans kar guzar rahe haiñ rah-e-pur-ḳhatar se ham
duniyā ko ham dikhā.eñge me.ār-e-bandagī
qismat banā ke uTTheñge ab tere dar se ham
jis kī navāzishoñ pe hai mauqūf zindagī
kyā hogā gir ga.e agar us kī nazar se ham
zinda haiñ to banegā isī jā phir āshiyāñ
Darte nahīñ haiñ fitna-e-barq-o-sharar se ham
duniyā se duur ho ke patā us kā pā ga.e
varna the apne aap se bhī be-ḳhabar se ham
allāh rakkhe ḳhanda-e-dīvāngī se duur
haiñ āshnā ma.āl-e-ġham-e-mo'atabar se ham
'kashfī' banā diyā use ā.īna-e-bahār
guzre kisī kī yaad meñ jis rahguzar se ham