is daur meñ sab apnā chalan bhuul ga.e haiñ
had ye hai ki fankār bhī fan bhuul ga.e haiñ
sayyād sunā.eñ tujhe kyūñkar vahī naġhme
ham lahja-e-arbāb-e-chaman bhuul ga.e haiñ
hai apnī jagah aaj bhī har rasm-e-zamāna
lekin hamīñ ā.īn-e-vatan bhuul ga.e haiñ
manzil ke nishāñ mar ke bhī vo pā na sakeñge
jo log rah-e-dār-o-rasan bhuul ga.e haiñ
afsos milā hai unheñ kab izn-e-rihā.ī
jab ahl-e-qafas rāh-e-chaman bhuul ga.e haiñ
kis tarah shikāyat kareñ be-tābī-e-dil kī
kyā ham tire māthe kī shikan bhuul ga.e haiñ
pursāñ nahīñ ġhurbat meñ mirā koī bhī 'kashfī'
shāyad mujhe yārān-e-vatan bhuul ga.e haiñ