sāhil pe ab charāġh farozāñ hue to kyā
ġharqāb ham ko kar ke ye sāmāñ hue to kyā
be-rañg-o-bū hai dāman-e-ahl-e-chaman abhī
qatre lahū ke sarf-e-bahārāñ hue to kyā
be-kār hai bahār jo aa.e na vaqt par
gar mere ba.ad aish ke sāmāñ hue to kyā
ham but-kade meñ rah ke bhī īmāñ-parast haiñ
vaa.iz haram meñ rah ke musalmāñ hue to kyā
gar lā-ilāj ho gayā dard-e-dil-e-figār
phir chārasāz mā.il-e-darmāñ hue to kyā
māthe pe to kalañk kā Tiika hai aaj tak
ham ko miTā ke log numāyāñ hue to kyā
ḳhvābīda ab bhī nazreñ haiñ be-his hai ab bhī dil
nā āshnā-e-soz ġhazal-ḳhvāñ hue to kyā
dāman se ḳhuun dil ko banānā thā rashk-e-gul
minnat-kash-e-bahār-e-gulistāñ hue to kyā
'kashfī' miTā sake na magar zulmat-e-nasīb
aañsū hamāre zīnat-e-mizhgāñ hue to kyā