Kashfi Lucknavi

mausam-e-gul mein koi kab hosh-mandana chala

Kashfi Lucknavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1921
mausam-e-gul meñ koī kab hosh-mandāna chalā
phuul dekhe jis ne kāñToñ meñ vo dīvāna chalā
ek hī manzil pe har raahī ko jaanā thā magar
zo.am-e-bātil meñ chalā jo bhī judāgāna chalā
us ke har ik gaam par thī kāmrānī saath saath
kārgāh-e-dahr meñ jo sarfaroshāna chalā
vā.izān-e-kam-nazar haiñ dushman-e-tamkīn-e-hosh
miT gayā vo in kī bātoñ par jo dīvāna chalā
mai-kade meñ ranj-o-ġham kaisā kahāñ kī mushkileñ
har ḳhalish jaatī rahī jab daur-e-paimāna chalā
āfrīñ sad āfrīñ ye himmat zauq-e-talab
sham.a ke jalte hī jal marne ko parvāna chalā
koī asrār mashiyyat ho na paayā āshkār
be-ḳhabar aayā thā 'kashfī' aur begāna chalā
Top Urdushayar.com