Kashfi Lucknavi

hai barham phir mizaj un ka dil-e-nakaam kya hoga

Kashfi Lucknavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1921
hai barham phir mizāj un kā dil-e-nākām kyā hogā
yahī sūrat rahī to ishq kā anjām kyā hogā
ḳhalish dil meñ jigar meñ dard lab par mohr-e-ḳhāmoshī
ye sūrat hai to phir mujh ko bhalā ārām kyā hogā
ye bazm-e-nāz hai ai dil yahāñ behtar hai ḳhāmoshī
sunā kar un ko apnā qissa-e-ālām kyā hogā
yahī hai zohd kā aalam to phir ai hazrat-e-nāseh
sharāb-e-hauz-e-kausar kā chhalaktā jaam kyā hogā
abhī se aañkh meñ aañsū haiñ lab par aah dil meñ dard
ye āġhāz-e-mohabbat hai to phir anjām kyā hogā
ḳhudārā ye bhī socho ai chaman ke chhoḌne vaalo
haiñ jo sahn-e-chaman meñ in kā ab anjām kyā hogā
koī badnām ho jaa.e to is ko bhī bahut samjho
hai ye duurī ḳhudī is meñ kisī kā naam kyā hogā
abhī to shab hai aao pyaar kī bāteñ kareñ ham tum
abhī se kyuuñ ye socheñ sub.h kā paiġhām kyā hogā
jidhar dekho udhar zulmat nazar aatī hai ai 'kashfī'
sahar kā rañg hai jab ye to rañg-e-shām kyā hogā
Top Urdushayar.com