ġham se ghabrā ke qayāmat kā talabgār na ban
itnā māyūs-e-karam ai dil-e-bīmār na ban
ḳhvāhish-e-dīd hai to tāb-e-nazar paidā kar
varna behtar hai yahī tālib-e-dīdār na ban
mujhe manzūr hai ye barq girā de mujh par
mujh se begāna magar ai nigah-e-yār na ban
dāman-e-hāl ko bhī phūloñ se bhar de nādāñ
sirf mustaqbil-e-rañgīñ kā taraf-dār na ban
bil-yaqīñ manzil-e-maqsūd milegī mujh ko
nā-umīdī tū mirī raah kī dīvār na bun
hai rihā.ī kī tamannā to girā de dīvār
qaid-e-zindāñ meñ rahīn-e-ġham-e-dīvār na ban
lā.eq-e-hamd hai vo jis kī ziyā hai un meñ
kam-nazar chāñd sitāroñ kā parastār na ban
maiñ ḳhatāvār huuñ to mujh ko miTā de sayyād
saare gulshan ke liye bā.is-e-āzār na ban
aise iqdām kā hāsil hai yahāñ nākāmī
bazm-e-sāqī hai ye 'kashfī' yahāñ ḳhuddār na ban