Kashfi Lucknavi

chaTak ke ghunche sunate hain kis ka afsana

Kashfi Lucknavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1921
chaTak ke ġhunche sunāte haiñ kis kā afsāna
ye kaun aa gayā gulshan meñ be-hijābāna
hamārā hausla-e-dil agar salāmat hai
badal hī deñge kisī din nizām-e-mai-ḳhāna
na hosh aa.egā us ko tire karam ke baġhair
tirī talāsh meñ jo ho gayā hai dīvāna
yahī hai maslahat-e-vaqt sab ko Thukrā duuñ
mujhe samajhtī hai duniyā to samjhe dīvāna
kisī ke husn kī tābāniyoñ kā kyā kahnā
nigāheñ ho ga.iiñ qurbān misl-e-dīvāna
vahīñ maiñ josh-e-haqīqat meñ sar jhukā dūñgā
jahāñ milegā mujhe naqsh-e-pā-e-jānāna
nasīhat aap kī hai to bajā magar nāseh
vo kyā kare ki hai jis kā mizāj rindāna
vo jab se mere tasavvur meñ aa.e haiñ 'kashfī'
banā huā hai tajallī-kada ye kāshāna
Top Urdushayar.com