Meraj Lakhnavi

sham-e-alam se pahle bhi subh-e-tarab ke baad bhi

Meraj Lakhnavi

shām-e-alam se pahle bhī sub.h-e-tarab ke ba.ad bhī
shauq-e-talab na miT sakā tark-e-talab ke ba.ad bhī
phir ye vahī ġham-e-firāq phir hai vahī kisī kī yaad
uf ye siyāh-baḳhtoñ ruḳhsat-e-shab ke ba.ad bhī
farz thā ehtirām-e-dost tak magar na ruk sake
baat laboñ tak aa ga.ī pās-e-adab ke ba.ad bhī
saarā ġhurūr-e-āshiqī ḳhaak meñ mil ke rah gayā
ho gayā un kā sāmnā tark-e-talab ke ba.ad bhī
raunaq-e-zīst ho ga.ī vaqt kī talḳhiyoñ meñ gum
lab pe hañsī na aa sakī izn-e-tarab ke ba.ad bhī
jo bhī ho ab ma.āl-e-ġham jo bhī ho ab nasīb-e-ishq
maiñ ne diye sabā diye ālam-e-shab ke ba.ad bhī
chaliye mirī ḳhatā sahī apnā karam bhī dekhiye
jaam na mil sakā mujhe daur meñ sab ke ba.ad bhī
Top Urdushayar.com