sarsabz the hurūf pa lahje meñ habs thā
kaise ajab mizāj kā mālik vo shaḳhs thā
phir dūsre hī din thā ajab us shajar kā haal
sabze kī in muñDeroñ pe patjhaḌ kā raqs thā
tajzīyya kartā huuñ to nadāmat hī hotī hai
dar-asal mere apne ravayyiye meñ naqs thā
go vo rahā sadā se mirā munharif magar
us kī har ek tarz pe merā hī aks thā
haa.il the dasht lafzoñ kī tafhīm meñ magar
us ke shafīq lahje meñ dhartī kā lams thā