Duubā huuñ to kis shaḳhs kā chehra nahīñ utrā
maiñ dard ke qulzum meñ bhī tanhā nahīñ utrā
zanjīr-e-nafas likhtī rahī dard kī āyāt
ik pal ko magar sukh kā sahīfa nahīñ utrā
insān muallaq haiñ ḳhalāoñ ke bhañvar meñ
ashjār se lagtā hai ki dariyā nahīñ utrā
sunte haiñ ki is peḌ se ThanDak hī milegī
shāḳhoñ ke darīchoñ se to jhoñkā nahīñ utrā
pathrā.ī huī āñkhoñ pe hairāñ na ho itnā
is shahr meñ koī bhī to zinda nahīñ utrā
sahrā-e-badan ko thī talab saa.e kī lekin
ik shaḳhs bhī me.aar pe puurā nahīñ utrā
sūraj kī talab meñ ka.ī nazrāne diye haiñ
ghar ke dar-o-dīvār se saaya nahīñ utrā